We celebrate Diwali to rejoice the return of Ram together with Sita and Lakshman from exile we also know what followed .
Ram has faced a lot of criticism for asking Sita to leave home BUT have we ever thought of Ram's feelings what he actually must have gone through when he had to send Sita away??--राम की व्यथा
पूछा था राम से
कैसे मर्यादा पुरुष है आप?
कैसे निभाया है धर्म आपने पत्नी को दे अग्नी परीक्षा का तिरस्कार??
हर धर्म निभाया ,न्याय किया, अर्धांगिनी को त्याग दिया?
पिता के वचनों के लिए रघुकुल की रीत निभायी
प्राण जाये पर वचन ;न जाये कह बैठे राम रघुरायी!!!
साक्षी क्या अग्नि नहीं थे फेरो के आपके?
वचन सुरक्षा का क्या नहीं लिया था वैदेही का आपने?
पितृ वचन को निभाने चले गए थे वनवास
फिर क्यौ लिया वापस आपने त्यागा हुआ अपना राजपाट??
धोभी के संदेहों को कर देते तुम शांत
भरत को राज दे देते
सीता को महलो का वास्!!!
अबला नहीं थी ,स्वाभिमानी थी प्रियतम की आभारी थी
धरती में जाकर समा गयी ऋण अपना सधा गयी
अग्नि ने भी शीतलता का दिया उसे आभास
प्रेयसी ,पत्नी ,माँ पुरुष को देती जीवनदान
वाम अंग आ जाती है जब
पुरुष पूर्ण कहलाता है तब
क्या यज्ञ पूरा कर लेते बिन सिया मूरत के राम?
अधूरी नहीं पूर्णl है वो अन्नदाता की अन्न्पूर्णा है वो
कहलाती है वामा
वाम अंग को गुंजित करके बन जाती हृदय का स्पंदन
चाहे वो रावन हो या हों रघुनन्दन
*
----------- ------------ -----------
पूछा जब राम से ........
अश्रु पूरित नैनो से राजीव लोचन ने किया बखान
उस पीडा का जो बेध गयी थी
हृदय उनका छेद गयी थी
कैसे दिन उनके बीते थे राज धर्म को जीते जीते
पूछते विधाता से वो
क्यों दिया मुझे मर्यादा पुरोषत्तम का मान ?
क्या बीती थी उनपर
जब लखन संग किया सिया ने था वन्प्रस्थान
हर रात कुश की शय्या पर निद्रा उनको छलती थी
हर सुबह स्वर्ण जटित थाली के भोजन का करते वो त्याग
आह !! विधाता क्यों दिया मुझे मर्यादा पुरषोत्तम का मान ??
मेरे मन् के चीत्कार को कभी समझ न पाया कोई
राजा था मैं , पुत्र था
पत्नी वियोग की पीडा को सहना ही था मेरा दुर्भाग्य
सोने की मूरत को मैंने किया था अंगीकार
सिंहासन पर वामा मेरे वोही मूरत होती थी
मेरे रनिवास में बैठी वोही मुस्काती थी
द्विपतनी के लिए न खोले मन ने मेरे कभी भी द्वार
प्रारब्ध मेरा कहता था
कलयुग में जाकर करना है तुमको पुरुष मर्यादा का प्रचार
इसीलिए दिया विष्णु ने तुमको रामचंद्र का यह अवतार
सुनो प्रियजन यही है मेरे व्याकुल मन की करुण पुकार
***********************************
Poochha thaa Ram se
Kaise maryada purush hain aap?
Kaise nibhaya hai dharm aapne?
Patni ko diya agni pariksha ka tiraskar?
Har dharm nibhaya, nyay kiya
Ardhangni ko tyag diya?
Pita ke vachno ke liye
Raghukul ki reet nibhayee!
pran jaye par vachan na jaye
Kah baithhe Ram Raghurayee!
Sakshi kya agni nahi thhey
Pheron ke apke?
Vachan suraksha ka nahi liya thha kya?
Vaidehi ka aapne?
Pitru vachan ko nibhane,
Chale gaye Vanvaas.
Phir kyoo le liya aapne
Tyaga hua Rajpaat??
Dhobi ke sandeho ko,
Kar dete tum shaant
Bharat ko raaj de dete
Sita ko mahlon ka waas.
*******
Abla nahi thi,swabhimani thi
Priyatam ki aabhaari thi
Dharti mein jaa kar samaa gayee
Agni ne apni sheetalta ka
diya use abhaas .
*****
Preyasi ,Patni ,maa
Purush ko deti jeevandaan.
Vam ang aa jaati hai jab,purush poorna kahlata hai tab
Kya Yagya poorn kar lete ??
Bin Siya moorat ke Ram?
*******
Adhoori nahi hai, Poorna hai woh.
Anndata ki annpoorna hai woh.
Kahlati hai Vama
Vam ang ko gunjit karke
Ban jati hridya ka spandan
Chahe Vo Ravan ho ya hon Vo Raghundan.!!
."
RAM'S VERSION
Poochha thaa Ram sey!
Kyou kiya agnipariksha de
Ardhangni ka tiraskar???
Ashru poorit naino se,
RajeevLochan ne kiya bakhaan
Us peeda ka jo bedh gayee thhi
Hridaya unka chhed gayee thhi.
Kaise din unke beete thhe!!
Rajdharm ko jeete jeete.
Poochhte Vidhata se woh,
"kyou diya mujhe ?
'Maryada Purshottam ka maan'"
Kya beetee thhi unpar jab
Lakhan sang kiya
Siyaa ne thha Vanprasthhan
.
Har raat kush ki shaiyya par
Nidra unko chhalti thi
Har subah swarn jadit thali ke
Bhojan ka woh karte tyag
"aaaaah !! vidhata kyoo
diya mujhe
Maryada Purshottam ka maan?"
" Merey mann ke cheetkar ko
Kabhi samajh na paya koi!
Raja thaa main,putra thha
Patni viyog ki peeda ko
Sahna hi thha, mera durbhagya"
"Sone ki moorat ko maine kiya thha angikar'
Sinhasan par vama merey, wahi moorat hoti thi
Merey Raaniwaas mein baithhi wo-hi muskati thhi
Dwi patni ke liye na merey mann ne khole
Kabhi bhi dwar."
Prarabdha mera kahta thaa
Kalyug mei jaakar
Karna hai Tumko purush maryada ka prachaar
Isiliye dia hai VISHNU nei tumko
RAM CHANDRA ka yah avtar.
Suno priyjan
Yahi hai merey vyakul mann ki
Karun pukaar."
_____ -------------
Kaise nibhaya hai dharm aapne?
Patni ko diya agni pariksha ka tiraskar?
Har dharm nibhaya, nyay kiya
Ardhangni ko tyag diya?
Pita ke vachno ke liye
Raghukul ki reet nibhayee!
pran jaye par vachan na jaye
Kah baithhe Ram Raghurayee!
Sakshi kya agni nahi thhey
Pheron ke apke?
Vachan suraksha ka nahi liya thha kya?
Vaidehi ka aapne?
Pitru vachan ko nibhane,
Chale gaye Vanvaas.
Phir kyoo le liya aapne
Tyaga hua Rajpaat??
Dhobi ke sandeho ko,
Kar dete tum shaant
Bharat ko raaj de dete
Sita ko mahlon ka waas.
*******
Abla nahi thi,swabhimani thi
Priyatam ki aabhaari thi
Dharti mein jaa kar samaa gayee
Agni ne apni sheetalta ka
diya use abhaas .
*****
Preyasi ,Patni ,maa
Purush ko deti jeevandaan.
Vam ang aa jaati hai jab,purush poorna kahlata hai tab
Kya Yagya poorn kar lete ??
Bin Siya moorat ke Ram?
*******
Adhoori nahi hai, Poorna hai woh.
Anndata ki annpoorna hai woh.
Kahlati hai Vama
Vam ang ko gunjit karke
Ban jati hridya ka spandan
Chahe Vo Ravan ho ya hon Vo Raghundan.!!
."
RAM'S VERSION
Poochha thaa Ram sey!
Kyou kiya agnipariksha de
Ardhangni ka tiraskar???
Ashru poorit naino se,
RajeevLochan ne kiya bakhaan
Us peeda ka jo bedh gayee thhi
Hridaya unka chhed gayee thhi.
Kaise din unke beete thhe!!
Rajdharm ko jeete jeete.
Poochhte Vidhata se woh,
"kyou diya mujhe ?
'Maryada Purshottam ka maan'"
Kya beetee thhi unpar jab
Lakhan sang kiya
Siyaa ne thha Vanprasthhan
.
Har raat kush ki shaiyya par
Nidra unko chhalti thi
Har subah swarn jadit thali ke
Bhojan ka woh karte tyag
"aaaaah !! vidhata kyoo
diya mujhe
Maryada Purshottam ka maan?"
" Merey mann ke cheetkar ko
Kabhi samajh na paya koi!
Raja thaa main,putra thha
Patni viyog ki peeda ko
Sahna hi thha, mera durbhagya"
"Sone ki moorat ko maine kiya thha angikar'
Sinhasan par vama merey, wahi moorat hoti thi
Merey Raaniwaas mein baithhi wo-hi muskati thhi
Dwi patni ke liye na merey mann ne khole
Kabhi bhi dwar."
Prarabdha mera kahta thaa
Kalyug mei jaakar
Karna hai Tumko purush maryada ka prachaar
Isiliye dia hai VISHNU nei tumko
RAM CHANDRA ka yah avtar.
Suno priyjan
Yahi hai merey vyakul mann ki
Karun pukaar."
_____ -------------
Touching...this shows why the great epic can not steer the society towards prosperity n progress! A noble warrior had to give in, and that defeats all purpose...sad :((
ReplyDeletethanks Panchali
Deleteyou are right but then this was to show the duties of a king towards his subjects ---that's the problem its all a vicious circle ---
so nice to see you on my posts
love
rajni
Very heart touching..! Sita's tale leaves me heart broken ~
ReplyDeleteyes ghazala
DeleteJust see how they have to take the help of a woman to write history
thanks or the visit
love
rajni
very touching...
ReplyDeletetrue to words