Tum chale jaate ho,Tanhaiyaa aa jaati hain;
Dil ke har moad pe viraniyan chhaa jaati hain.
Kuch yadien lautti hain,
Muskurahte aa jati hain.
Par na jaane kyu??
,Khilkhilahate tarsati hain.
tum chale jaate ho
Lauta dete hain muskurahto ko hum.
Aur,woh poochhti hain humse,
'Kyon itne sangdil ho gaye ho,?
Na kabhi bulate ho
Na khud hi aane dete ho.
Rok lo humko.
Rok lo humko,
Khuda bhi toh yahi kahta hai-
''Chalaa jaataa hai waqt phir na laut sakne ko''.
tum chale jaate ho
Dil ke har moad pe viraniyan chhaa jaati hain.
Kuch yadien lautti hain,
Muskurahte aa jati hain.
Par na jaane kyu??
,Khilkhilahate tarsati hain.
tum chale jaate ho
Lauta dete hain muskurahto ko hum.
Aur,woh poochhti hain humse,
'Kyon itne sangdil ho gaye ho,?
Na kabhi bulate ho
Na khud hi aane dete ho.
Rok lo humko.
Rok lo humko,
Khuda bhi toh yahi kahta hai-
''Chalaa jaataa hai waqt phir na laut sakne ko''.
tum chale jaate ho
Phir yaad aa jaate hain wade terey
Nek lagte woh irade terey.
Kahgaye thhe tum jaate jaate
''Mai gaya waqt nahi hoon jo kabhi aa na sakoo.
Jab udasi mne tum bulaogi mujhe,
Rok lena muskurahto ko tum
Tum bhi ruk jaanaa Waqt bhi ruk jayega,
Motee palko pe teri Thham jayega;
Phir sametengi ungliya meri unko
Hatheliyon pe apni unhe mai rakh loonga
Yaad rakhna mai gaya waqt nahi.
Wada hai mera milunga mai yahien.''
hey rajni.. always heartening to read your soothing compositions.
ReplyDeletedifferently romantic, drenched in sadness..
''Chalaa jaataa hai waqt phir na laut sakne ko''
Wow.. :)
so nice to see you again on my post Deepak ---thanks for appreciating:))
ReplyDeletePensive thoughts-so heart-wrenching!But ending on a positive note--great!!
ReplyDeleteLove n hugs Rajni.
thankyou so much Indu ji-----so glad to find your appreciation:))
DeleteVery nice Rajni Ji !!
ReplyDelete